अब तेरी याद से वेह्शत नहीं होती मुझ को
ज़ख़्म खुलते हैं अज़ीयत नहीं होती मुझ को
अब कोई ए चला जाये मै खुश रहता हूँ
अब किसी शख्स की आदत नहीं होती मुझ को
ऐसे बदला हूँ तेरे शेहेर का पानी पी कर
झूट बोलूं तो नदामत नहीं होती मुझ को
हो अमानत में खयानत सो किस्सी की खातिर
कोई मरता है तो हैरत नहीं होती मुझ को
इतना मसरूफ हूँ जीने की हवास में मोहसिन
सांस लेने की भी फुर्सत नहीं होती मुझ को
---------------------------------------------
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko
Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat nahin hoti mujh ko
Aise badla hoon tere sheher ka pani pee kar
Jhoot bolun to nadamat nahin hoti mujh ko
Ho amanat mein khayanat so kissi ki khatir
koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko
Itna masroof hun jeene ki hawas mein Mohsin
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko